عمر بھر سینے سے لگا کے پالا ہے ماں نے
Umer Bhar Seene Se Laga Kar Pala Hai Maa Ne
کیا آپ کو یہ نظم پسند ای اپنے comments کے ذریے ہمیں بتایں
Umer Bhar Seene Se Laga Kar Pala Hai Maa Ne
Ghalat Bato Pe Thora Thora Mara Hai Maa Ne
Abhi Tak Wo Bachpan Ki Yadein Hain Baqi
Aur Wo Bachpan Ki Batein Hain Baqi
Ke Jab Mein Ne Bola Tha Maa Pehli Baar
Maa Ki Aankhon Mein Bhara Tha Kitna Pyar
Peda Huya Tha To Khuch Nahin Tha Mein
Maa Ki Wajha Se Aaj Hoon Kiya Kiya Mein
Lalach To Khuch Nahin Meri Maa Ko Magar
Acha Ho Jo Dedoon Dil Tohfay Mein Agar
Maa Ko Chor Dete Hain Aise Khuch Log Hote Hain
Phir Maa Ke Liye Wo Hamesha Rote Hain
Khuch Logo Ke Liye Maa Ko Chorte Nahin
Chahe Khuch Ho Jaye Moo Morte Nahin
Maa Se Hamesha Humein Sukh Milte Hain
Phir Bhi Us Ko Hum Se Dukh Milte Hain
Kash Qurbaan Karoon Mein Sab Us Ki Sada Pe
Aur Wo Mujhe Pyar Kare Meri Issi Ada Pe
Maa Se Mujhe Meri Koyi Juda Na Kare
Karoon Pyar Kisi Aur Se Khuda Na Kare
کیا آپ کو یہ نظم پسند ای اپنے comments کے ذریے ہمیں بتایں
0 comments:
Post a Comment