Ye Jo Deewane Se Do Char Nazar Aate Hain
In Mein Kuch Sahab-e-israr Nazar Aate Hain
Teri Mehfil Ka Bharam Rakhte Hain So Jate Hain
Warna Ye Log Tu Bedaar Nazar Aate Hain
Mere Daman Mein Angaron Ke Siwa Kuch Bhi Nahi
App Bhoolon Ke Khareedar Nazar Aate Hain
Door Tak Koi Sitara Hai Na Koi Jugno
Marg-e-emeed Ke Asaar Nazar Aate Hain
Kal Jinhen Chho Nahi Sakti Thi Farishton Ki Nazar
Aaj Wo Ronaq-e-bazaar Nazar Aate Hain
Hashar Mein Kon Gawa Meri De Ga Ga Saghar
Sab Tumhare Hee Taraf Dar Nazar Aate Hain
کیا آپ کو یہ غزل پسند ای اپنے comments کے ذریے ہمیں بتایں
Categories:
Ghazlain
,
Saghar
,
اردو
,
ساغر صدیقی
7 comments:
اعلٰی نظم ہے
ye ghazal or nusrat fathy ali khan ki awaz
Kammmmmmaaaaal
My favourite
Alfaz nai hai bas rooh ko chojati hai
مجھے اپنے مرنے کا غم نہیں لیکن
ہائے !میں تجھ سے بچھڑجاؤں گا۔
Bs yehi kehna h
Post a Comment