Sard sa hath milanay wala
Tu wohi hai na zamanay wala
...Tum mujhy yaad rakho gay kaisay
Jab KHUDA b ho bhulanay wala
Dukh ki mazdoori mujay karna hai
Hai koi hath batanay wala
Raat agay na janay wali
Hijer b shoor machanay wala
Janay aab shahar rahay ya na rahay
Mein tu ek shakas hon janay wala
Shayed ek gham hi faqt hota hai
Umer bhar sath nibhanay wala
Aab zamana hi nahi hai FARHAT
Deep say deep jalanay wala
کیا آپ کو یہ غزل پسند ای اپنے comments کے ذریے ہمیں بتایں
Categories:
Farhat Abbas Shah
,
Ghazlain
,
اردو
0 comments:
Post a Comment