us ne door rehneka mashvara bhi likha hai
sath hi muhabat ka wasta bhi likha hai
us ne yeh bhi likha hai maray ghar nahi aana
aur saaf lafzon mai rasta bhi likha ha
kuch haruf likhay hain zabt ki nasihat mein
kuch haruf mai us ne hosla bhi likha hai
shukrya bhi likha hai dill se yaad karnay ka
dil se dil ka hai kitna-fasla bhi likha hai
kia usay likhein "MOHSIN" kai usay kahain bolo
zalim ne bejaan kar jena bhi to likha hai.....Mohsin♥
Categories:
Ghazals
,
Ghazlain
,
Love poetry
,
Nazmain
,
Roman poetry
,
Romantic urdu hindi Ghazals
0 comments:
Post a Comment