Khirki, chand, kitab aur main,
mudat se ik baab aur main.
shab bhar khelen aapas main,
do ankhen, ik khuwab aur main.
mauj aur kashti sahil par,
darya main gardaab aur main.
shaam, udaasi, khamoshi,
kuch kankar, talab aur main.
har shab pakray jatay hain,
gehri neend, tere khuwab aur MAIN…..!
Categories:
chand
,
Ghazals
,
Ghazlain
,
Nazmain
,
Roman poetry
0 comments:
Post a Comment