'Shehr-e-fana hoon, tere kis kaam ka hon?
Tu rafaqat k lye aur kisi ko chun le,
Main to khud aabla pa hon,
tere kis kaam ka hon?
Tujko darkar hain pholon k mehkate saaye
Main to sehra me khara hon
tere kis kaam ka hon?
Ae parstare gul-e-tarr tera rasta takte takte
Shaakh pe sookh gia hon
tere kis kaam ka hon?
Tu b auron ki trah mujse kinara kr le
Sari dunya se bura hon tery
kis kam ka hon?'
Categories:
Ghazals
,
Ghazlain
,
sad poetry poems
,
Wasi Shah
0 comments:
Post a Comment