Wafa jab Maslehat ki shawl orhey
Sard raat ka roop dharey DiL k aangan main
utarti hey,
>
To palkon par Sitaaron ki dhanak Muskaaney lagti hey
Kabhi khwabon ke an-chuey Heowlon
sey bhi An-dekhi c anjaani c khushboo aaney
lagti hey
Kisi ke sang beetey, an-ginat lamhon ki Zangeerain
Achanak zehan main jab gungunaati hain
Nafas ke taar main sannata sa yakdam cheenkh uth'ta hey
To yun Mehsoos hota hey
Hawayen aa ker sargoshi karti hain
Mohabbat ka Tumhain idraak ab to ho giya ho ga ..?
Ye jo bhi Zakhm deti hey, kabhi Seeney naheen deti !
Mohabbat rooth
jaaye to, kabhi
Jeeney naheen deti ..!
کیا آپ کو یہ غزل پسند ای اپنے comments کے ذریے ہمیں بتایں
Categories:
Roman poetry
0 comments:
Post a Comment