Na wo Farishta Ho Na Farishte Jaisa Ho
Mujhe Talash Hai Uski Jo Mere Jaisa HoJo Khwaab Dene Ko Qadir Ho Meri Aankhon Ko
Meri Mohabbat Ko Pehchan Sake Woh Aisa Ho
Meri Khatir Marne Ka Hosla Bhi Rakhta Ho
Koi Bhi Ho..Kahi Bhi Ho.. Bas Aisa Ho
Agar Kabhi Rooth Jaoon Mein Usse To
Muskrake Manaye, Woh Aisa Ho
Jo Baat Kare To Woh Nibha Bhi Sake
Iradon Mein Woh Apne, Chattanon Jaisa Ho
Dukhon Mein Hansne Ka Hunar Janta Ho
Ik Aisa Hamsafar Jo Samandar Ki Tarah Gehra Ho
Us Ke Pyaar Ki Thandak Ho Mere Liye Aisi
Ke Woh To Bilkul Aasman Ke Chand Jaisa Ho
Woh Sirf Mera Ho, Jo Nigahon Mein HaYa Rakhta Ho
Umar Bhar Saath Chale…!!!
Bus Humsafar Mera Aisa Ho
کیا آپ کو یہ غزل پسند ای اپنے comments کے ذریے ہمیں بتایں
Categories:
Roman poetry
0 comments:
Post a Comment