kahan aa kay ruktay thay rastay kahan moor tha usay bhol ja
wo jo mil gya usay yaad rahk jo nahi mila usay bhol ja
wo teray naseeb ki baarishian kisi aur chat per bars gyain
aay dil! Bekhabar meri baat sun usay bohl ja usay bhol ja
main tu gum tha teray hi dehaan main teri aas teray guman main
saba keh gyai meray kaan main meray saath aa usay bhol ja
kisi aankh main nahi ashk gum, teray baad khuch bhi nahi hai kum
tujhay zindgi nay bhula dya tu bhi muskara usay bhol ja
kahin chak jaan ka rafoo nahi kisi aastin pe laho nahi
keh sheheed rah milal ka nahi khoon baha usay bhol ja
kyion ata hua hai ghubar main gum zindgi kay fishar main
wo jo darj tha teray bakht mein so wo ho gya usay bhol ja
na wo aankh hi teri aankh thi na wo khawaab hi tera khawaab tha
dil muntazaar tu ye kis lyae hai tera jagna usay bhol ja
ye jo raat din ka hai keehl sa usay dehk us pe yaqeen na ker
nahi aaks koi bhi mustaqil ser-e-aainah usay bhol ja
jo basaat jaan hi ult gya wo jo rastay se palat gya
usay roknay se hasool kyia usay mat bula usay bhol ja
tu ye kis lyae shub hijar kay usay her sitaray main dekhna
wo falak keh jis pe milay thay hum koi aur tha usay bhol ja
tujhay chand bun kay mila tha jo baray sahilon pe kihla tha jo
wo tha aik darya wasaal ka so utar gya usay bhol ja
کیا آپ کو یہ غزل پسند ای اپنے comments کے ذریے ہمیں بتایں
Categories:
Amjad Islam Amjad
,
Ghazlain
,
اردو
0 comments:
Post a Comment