ye mazaaq hai meri zaat se ye riwaj hai tere shehar ka
kabhi is taraf kabhi us taraf kiya mizaj hai tere shehar ka
yahan nafretein bari aam hain yahan chahton ki qadar nahi
wo jo khoon tha mere jism mein wo anaaj hai tere shehar ka
nahi had yahan kisi zulm ki na hi pass hai kisi rabt ka
wo jo haal tha yahan kal talak wohi ajj hai tere shehar ka
yahan katna kisi or ko hai bahaduri ki alamtein
wo jo janglon mein bhi tha kabhi wohi raj hai tere shehar ka
Categories:
Roman poetry
0 comments:
Post a Comment