Zamen Par Chal Na Saka Aur Asman Se Bhi Gya
Kata ke Par Parinda Udan Se Bhi Gya
Bhula Diya Toh Bhulaney ki Inteha Kar Doh
Ab Woh Shaksh Mere Vhem o Guman Se Bhi Gya
Kisi ke Hath Se Nikla Hua Ter Hon Mein
Joh Hadaf Ko Cho Na Saka Aur Kaman Se Bhi Gya
Tabah kar Gayein Mujhe Pakke Makan Ki Khawahish
Men Apne Gaon ke kache Makan Se Bhi Gya
Parayi Aag Mein Koda Toh kya Mila sahiba
Use Bhuja Na Saka Aur Apni Jan Se Bhi Gya
Categories:
Ghazals
,
Ghazlain
,
Roman poetry
,
Romantic urdu hindi Ghazals
,
sad poetry poems
0 comments:
Post a Comment