Umer Ki sari Thakan Laad K Ghar Jata Hon
Raat Bister Pay Sota Nahi MAr Jata Hon
Akser Okaat Bhare Sheher K Sanatay Main
Es Qadar Zor Se Hansta Hon K Dar Jata Hon
Mere Aanay Ki Khabar Sirf Diya Rakhta Hay
Main Hawaon Ki Tarah Aa K GUzar Jata Hon
Dil Theher Jata Hay Bhooli Hoi Manzil Main Kahin
Main Kisi Dusre Raste Se Guzar Jata Hon
Simta Rehta HOn Buhat Halqa Ahbab Main Main
Char Dewari Main Aatay HE BIkhar Jata Hon
Main Ne Apne Khilaaf Khud He Gawahi Di Hay
Gar Tere Haq Main Nahi HAy To Mukar Jata Hon
Categories:
Ghazals
,
Ghazlain
,
Roman poetry
,
sad poetry poems
0 comments:
Post a Comment