Chalo Phir shart lag jay
Main sabit aaj kar dongi
K tum ne Dil lagi ki hay
Mohabbat naam ki ki hay
Sun kar uski Baton ko
Main bola saada dil larki
Agar main dil lagi karta
To jeene se na youn darta
Mohabbat nam ki karta
Wafayen aam si karta
Magar phir bhi
Teri taskeen ki khatir ye kehta hon
Haan! Main ne dil lagi ki thi
Tujay apna he samjha tha
Tuj se dil lagaya tha
Jahan na koi gham pohanchay
wahan tuuj ko chupaya tha
Magar jaana’n yaqeen jaano
Tumhare hosle ki daad deta hon
K kitni Be rukhi se tu ne keh dala
Chalo Phir shart lag jaye
K tum ne Dil lagi ki hay
Categories:
Ghazals
,
Ghazlain
,
Nazmain
,
Roman poetry
,
Romantic urdu hindi Ghazals
,
sad poetry poems
0 comments:
Post a Comment