Bikta hay husan bhi zikar misar k bazar ka karlon
Ya Tazkara Anaar kali Saleem k darbar ka kar lon
Din es qadar tohamaten Mujay Aalam-e-Ishq ne
Sochta hon rukh apna bhi Saf-e-Aghyar ko kar lon
Kehta hay ghalib ishq bhi aik kaam hota hay
Chalo phir fikar darvesh, apne rozgaar ka kar lon
Gunah-eIshq sunta hon main, Sadiyon se jari hay
Main jata hon k aik tawaaf pane dildar ka kar lon
Azan-e-Husan deti hay tere rukhsar ki masjid
Ijazat ho darvesh, HOnton se aik sajda payar ka karlon
Categories:
Ghazals
,
Ghazlain
,
Nazmain
,
Roman poetry
,
Romantic urdu hindi Ghazals
,
sad poetry poems
0 comments:
Post a Comment