Koi chupke chupke kehta hay
koi geet likho meri aankhon per
koi sher kaho mere lafzon per
in khushboo jesi baton per
Chup chaap main sunta rehta hon
pphir in jheel si gehri aankhon per
ik taza ghazal likh deta hon
in phool jesi baton per
Aik sher naya keh deta hon
Ye geet ghazal ye sher mere
sab us k payar ka darpan hay
sab us k roop ka darshan hay
Sab uski aankh ka kajal hay
Categories:
Designed poetry
,
Ghazals
,
Nazmain
,
Roman poetry
,
Romantic urdu hindi Ghazals
0 comments:
Post a Comment