jane kiun wo sanson ki daur tutne nahi deta
Bas qadam aur chalne ka wasta dekar mujay rukne nahi deta
Baat kehta hay wo hans hans kar ji lene ki
Ajeeb shaks hay mujay chain se ronay nahi deta
Aaj hosla deta hay ujay chaand sitaron ko choo lene ka
Woh payara sa chehra mujay toot k bikhrne nahi deta
Shayad janta hay wo bhi in aankhon main Aansson ka sailab hay
Janay kiun phir bhi wo in Aansoon ko girne nahi deta
Mujse kehta hay main to mar jaonga tumhare bina
Main Zinda hon ab tak mujay wo marne nahi deta
Categories:
Ghazals
,
Ghazlain
,
Roman poetry
,
sad poetry poems
0 comments:
Post a Comment