Meri Ankhon k Samandar Mein Jalan Kesi Hai
Aaj Phir Dil Ko Tarapny Ki Lagan Kesi Hai,
Ab kisi Chhat Pe Charagon Ki Qataarain Bhi Nahin…
Ab Tere Shehar Ki Galiyon Mein Ghutan Kesi Hai,
Baraf K Roop Mein Dhal Jaein Gy Saary Rishty
Mujh Se Poochho Muhabbat Ki Agan Kesi Hai,
Mein Tere Wisaal Ki Khuwahish Ko Na Marny Doon Ga
Mausam-E-Hijar K Lehje Mein Thakan Kesi Hai,
Regzaron Mein Jo Banti Rahi Kanton Ki Rida
Us Ki Majboor Si Aankhon Mein Kiran Kesi Hai,
Mujhe Masoom Si Pagal Larki Pe Taras Ataa Hai
Usy Dekho To Muhabbat Mein Magan Kesi Hai !
Categories:
Ghazals
,
Ghazlain
,
Roman poetry
,
sad poetry poems
0 comments:
Post a Comment