Bari hairat se arbab_e_ wafa ko dekhta hoon main
Khata ko dekhta hoon aur saza ko dekhta hoon main
Abhi kuch dair hay shayad mere majuos hone main
Abhi kuch din freeb_e_ rehnama ko dekhta hoon main
KHUDA maloom dil ko justaju hay kin jazeron ki
Najane kin sitaron ki ziya dekhta hoon
Yeh kiya ghum hay,mere ashaar ko nam kar deya jes ne
Yeh dil main kis samandar ki ghata ko dekhta hoon main
Zameer eik kaid_e_namahsos ko mahsos karta hoon
Kisi nadedni zanjeer paa ko dekhta hoon main!!!!!
Categories:
Designed poetry
,
Ghazals
,
Ghazlain
,
Roman poetry
,
sad poetry poems
0 comments:
Post a Comment