Ab aye meray ehsaas-e-junoon–kia mujhey daina?
Darya usay bakhsha hai tu sehra mujhey daina
Tum apna makaan jab karo taqseem tu yaaro
Girti hui deewar ka saaya mujhey daina
Jab waqt ki murjhaai hui shaakh sambhaalo
Us shaakh say toota hua lamha mujhey daina
Tum mera badan ohrh kay phirtay raho-LEKIN
Mumkin ho tu ek din mera chehra mujhey daina
Choo jayee hawa jis say tu khushboo teri aye
Jaatey huay ek zakhm tu aisa mujhey daina
Ek dard ka mela hai–laga hai dil-o-jaan mein
Ek rooh ki awaaz k rsta mujhey daina
Ek taaza ghazal izn-e-sukhan maang rahi hai
Tum apna mehekta hua lehja mujhey daina
Wo mujh say kahin barh k musibat main tha *Mohsin*
Reh reh k magar uska dilaasa mujhey daina.
Categories:
Ghazals
,
Ghazlain
,
Mohsin Naqvi
,
Nazmain
,
Roman poetry
,
sad poetry poems
0 comments:
Post a Comment