Mujh se nafrat ki aj inteha kar di Us ne
mere Mar hi jane ki Dua kar di Us ne
mein jis khush fehmi mein raha barson se ab tak
wo baat pal bhar mein fanah kar di Us ne
jis Muhabbat ko hum taras'te rahe tarp'te rahe
gurur-e-husn mein namaz-e-Muhabbat qaza kar di Us ne
'DOSTO' aao Mujhe lapet do kafan mein aj
mere jism se rooh juda kar di Us ne
hum ne tu zindagi bita ne ko zindagi Mangi...
meri Masom zindagi ek saza kar di Us ne.
Categories:
Ghazlain
,
Roman poetry
0 comments:
Post a Comment