Wo meri baat ko sanjidgi se kam he leti hay
Her aik pal Muskarana, Khilkhilana
Buhat masrofo rehti hay
Magar Aik khadsha bhi hai mujko
Main izhar se, iqrar se,
khud ko raokay rakhta hon
khud ko raokay rakhta hon
k mehke khawab bun'ne
khailne ka waqt hay uska
Meri chahat kahin Masomiat na Cheen le uski
Sada se ham ne dekha hay
Muhabbat aadmi ko es qadar
sanjida kar deti hay
sanjida kar deti hay
k phir mehfil, Tamasha, Khail
usko bhojh lagtay hain
usko bhojh lagtay hain
Main darta hon Kahin Bholpan uska
Ye chehchana, Muskarana sab
Mere izhar se Sanjidgi main na badal jae
Kahin us Shokh ko bhi Rog,koi Chup na lag jae
Mujay us se Muhabbat hay
Magar kese kahon us se.
Categories:
Ghazlain
,
Nazmain
,
Roman poetry
0 comments:
Post a Comment