Kash main teray haseen hath ka kangan hota
KASH MAIN TERAY HASEEN HATH KA KANGAN HOTA
to baray pyaar say chaou say maan ke sath
apni nazuk si calaiy main charhaty mujh ko
or betabi say furqat k khizan lamhon main
to kisi soch main doobi jo gumhaty mujh ko
meray teray hath ki khushbo say mehak sa jata
jab kabhi mood main kar mujhay chooma karty
teray honton ki hedat main dehak sa jata
rat ko jab bhi to neendon ke safar per jaty
main teray kaan say lag kar kaiy baatain karta
tere zulfon ko teray gall ko chooma karta
mujh ko betaab sa rakhta tere chahat ka nasha
main tere ruh ke gulshan main mehakta rehta
main teray jisam ke angan main khanakta rehta
KUCH nhi to yahi BEYNAAM sa BANDHAN hota
KASH MAIN TERAY HASEEN HATH KA KANGAN HOTA
Categories:
Designed poetry
,
Ghazlain
,
Wasi Shah
0 comments:
Post a Comment