Kaash main teray haseen hath ka kangan hota
Tu baray piyar se, chaa-o se, baray maaan ke saath
Apni nazuk se kalayee main charhati mujh ko
Aur betaabi say furqat ke khizaa-n lamhon main
Tu kisi soch main doobi jo ghumati mujh ko
Main tere haath ki khushbu say mehak sa jata
Jab kabhi mood main aa-kar mujhe chooma kartin
Tere honton ki main hiddat se dehak sa jata
Raat ko jab bhi tu neend ke safar pay jatin
Marmar-een haath ka ik takiya banaya kartin
Main tere kaan se lag kar kaye batain karta
Tere zulfon ko, tere gal ko, chooma karta
Mujh ko beatab sa rakhta tere chahat ka nasha
Main tere roah ke gulshan main mehak-ta rehta
Main tere jism kay aangan main khanakta rehta
Kuch nahin to yehi be-naam sa bandhan hota
Kash main tere haseen hath ka kangan hota
(By Wasi Shah)
Categories:
Ghazlain
,
Roman poetry
,
Wasi Shah
0 comments:
Post a Comment