Hum say taskheel muqadder kay sitaray na huay
Zindagi aap thay, aur aap hamary na huay
Phir bata'o keh bhala kis pe sitam dhao gey
Shehr-e-ulfat main ager dard kay maary na huay
Zard aankhon say meri hijr kay moti barsay
Ye bhi kya kam hay muhabat main khasaary na huay
Sach to yeh hay keh bina us kay guzaara jeevan!
Ye bhi sach hay kay bina us kay guzaarey na huay
Iss liye apna milan ho bhi nahi sakta tha
Aik drya kay kabi dono kinaary na huay
Toot jatay hain sabhi pyaar kay rishtay Amjad
Kachay dhagay to kisi kay bhi sahaary na huay
Categories:
Ghazlain
,
Nazmain
,
Roman poetry
0 comments:
Post a Comment