Heran Hu Ye Kon Sa Dastur-e-Wafa Hai,,,
Tu Misl-e-Rag-e-Jan Hai To Kyu Mujh Se Juda Hai,,,
Tu Ehel-e-Nazar Hai To nhi Tujh Ko Khabar Kyu,,
Pehlu main Tere Koi Zmaney Se Khrra Hai,,,
Likha Hai Mera Naam Samandar Pe Hawa ne,,,
or Dono Ki Fitrat main Skoon Hai na Wafa Hai,,,
Uthti Hai Jo Pehlu Se Mere Dard Ki Lehren,,,
Betab Samandar Koi Siney main Daba Hai,,,
Ae Zeest K Dozakh Se Guzrtey Huway Lahmo,,,
Socha Hai Kbhig Tum ne K Jeena B Ek Saza Hai,,,,
Categories:
Ghazlain
,
Roman poetry
0 comments:
Post a Comment