Hanste hain yunhi hans k rula jate hain log,
Milten hain yunhi mil k juda ho jate hain log,
Pal 2 pal ko umar bhar ka sath na samjho,
Mohabbat bhi karte hen khafa bhi ho jate hain log,
Qaidi hain najane kin kin majboriyon k,
Kar k izhar-e-mohabbat beparwa ho jate hain log,
Nasib me tha hi nahi jo hum ko mila nahi,
Mohabbat ki aarr me chupke se zehar pila jate hain log,
Ab kis se shikwa karen apni qismat ka MUDDASIR,
Kar k wafa k waday bewafa ho jate hain log,~R
Categories:
Ghazlain
,
Nazmain
,
Roman poetry
0 comments:
Post a Comment