Is veerane mein teri aankhon k siwa kuch nahi,
Udaas aankhon mein aansu k siwa kuch nahi,
Tere aaney ki aas per zinda hoon ab tak,
Ab tujhe dekhne ki hasrat k siwa kuch nahi,
Tasveer teri aankhon mein utar gai kuch is tarha,
Nazar kaheen b jaye to teri surat k siwa kuch nahi,
Subha se shaam tak raah teri taktey hain,
Ab yaad mujhe tere intezaar k siwa kuch nahi,
Tamam raat kat gai shayed neend rooth gai humse,
Kuch deir aankh lagi to tere sapno k siwa kuch nahi.
Categories:
Ghazlain
,
Roman poetry
0 comments:
Post a Comment