Pamaal ho gaye tere dar par parray huay,
Jaise shajar se toot ke pattay giray huay...
Na qadriye zamana hamein maloom hai magar,
Yaaron se phir fazool ke shikway gilay huay.
Mehroomion ke bojh se gardan jhuki hui....
Nakamion ki gard se chehray attay huay.
Shayad tumhein khabar ho batao wo qaaflay,
Thehray kahan thay be sar o samaan chalay huay.
Ja ne kidhar chalay gae saaray wo humsafar?
Hum rahguzar mein reh gaye tanha kharay huay.
کیا آپ کو یہ غزل پسند ای اپنے comments کے ذریے ہمیں بتایں
0 comments:
Post a Comment