Mohabbatein Jab Shumar Karna To Sazishiyen Bhi Sumar Karna
Jo Mery Hissay Main Aye Hain Who Aziyaatein Bhi Sumar Karna
Chalaye Rakhon Gi Main Subha Tak Tumary Raston Main Apni Ankhein
Mager Kahin Sabt Tot Jaye Tu Barishein Bhi Shumar Karna
Jo Harf Loh_E_Wafa Per Likhay Hoye Hain Un Ko Bhi Dekh Laina
Jo Rahhegaa Ho Gaein Who Sare Ibbaratein Bhi Shumar Karna
Yeh Sardiyo0n Ka Udaas Musam Kay Dharkaein Barf Hogai Hain
Jab In Ki Yakh Bastagi Parkhna Tu Tamazatien Bhi Sumar Karna
Tum Aapni Majboriyon K Qisse Zaroor Likhna Wazahaton Se
Jo Meri Ankhon Main Jal Bhuji Hain Who Khuwahishein Bhi Sumar Karna
Mohabbatein Jab Sumar Karna To Sazishiyen Bhi Sumar Karna
Jo Mery Hissay Main Aye Hain Who Aziyaatein Bhi Sumar Karna...!!!
کیا آپ کو یہ غزل پسند ای اپنے comments کے ذریے ہمیں بتایں
Categories:
Ghazlain
,
Noshi Gillani
,
اردو
4 comments:
mjha ye ghazal bhot bhot pasnd hai thnxx...
agar apka pass is trah ki aor bhi ghazals ho to wo bhi post kar dain....
Great!expression of my own self
Very Nice Ghazl bahot achy andaz me
Post a Comment