کیا خبر تھی، مار دے گا زندگی کرنے کا شوق
مجھ کو تنہا کر گیا ہے، دوستی کرنے کا شوق
گو میری اوقات جگنو کے برابر بھی نہیں
پر ہے سورج سے زیادہ روشنی کرنے کا شوق
جب سے چُوما ہے جبیں نے آپ کی دہلیز کو
میرے دل میں بڑھ گیا ہے بندگی کرنے کا شوق
جانے کس برسات کی مقروض ہیں آ نکھیں میری
ہو گیا ہے بارشوں کی پیروی کرنے کا شوق
Kya khabar thi, maar de ga zindagi karne ka shaoq
Mujh ko tanha kar gaya hai dosti karne ka shaoq
Go meri aoqaat jugnoo ke baraabar bhi nahi
Par hai sooraj se zyaada raoshani karne ka shaoq
Jab se chooma hai jabeen ne aap ki dehleez ko
Mere dil ma baRh gaya hai bandagi karne ka shaoq

Jaane kis barsaat ki maqrooz hain aankhein meri
Ho gaya hai baarishon ki pairawi karne ka shaoq
Ho gaya hai baarishon ki pairawi karne ka shaoq
کیا آپ کو یہ غزل پسند ای اپنے comments کے ذریے ہمیں بتایں
1 comments:
اچھی غزل ہے مگر شاعر کا نام بھی ساتھ لکھنے میں کیا حرج تھا؟؟
Post a Comment